Sunday, June 21, 2009

Mat dikhao apne aap ko chupaa kar rakho, mat jao aise jgaha jahaan apmaan ki shanka ho, mat socho unke baare main jo chhand aur alankaar ka ganiit rache. Samay beetega aur beet rahaa hai. Soch ke dekko ki bachpan se kab bade ho gaye. Who BCG ka teeka lgavaa ke rote hue hosptal se maa kee narm godh main ghar aana aur phir prathmic se middle fir half pent se full pent tak ka school, dost yaar, dhaaba, ladkiyaan ur phir parrksha dar, result aur phir entrence exams fir college.
College main future ke baare main na soch ke chote targets banana aur adhe hee poore karna, jhagda prem ka. Ab college be khatam aur naukri ki khoj ek dar ke saath ke naukari lagegee ya nahain, nahin lagee toh log kya khaenge, maa baap se paise kaise mangaaon.
Ab job laga toh kaam bhee seekhna padega, ab kamaane lage hai toh confidence aaya aur khoob khaaya peeya, aur prem vivaah karke brahaaman ho gaye daaro cigarete, maas machhee chodh diya. Sirf prem aur prem, zism se alag vaasana se alag nihswaarth. Phir toda akelaa pan aur man kee taak jhaank, Home loan, student loan, EMI, Credit cards bills.
Koi samjhye to bura lagana, family plan karna, future ke baare main plan karna, health insurance, LIC kee policy vagirahaa. Ameer padosee kee property ko dekh spane baanaana, bhaoot kuch ye sab ek pal main hee nikal gaya. Bachpan se kab yaahan tak pahoonch gye pataa hee nahinn chala. Jo mere priy hai unko marte hue dekh main bhee maroonga. Samaye poorvabhaas hota hai apnee priyjanoo ko apnee lash par rota hua dekhata hoon aur darta hoon ke jab main nahin rahoonga to ye mere priya jan kya karenge mere patnee kese rahee gee mere bache kya toppanee karenge.
Jeeva chota lagne laga hai aur samay mano drot gatee pakd chuka aur ab pataa chal gay hai kee ye ab nahin rukega. Toh bas payaar kar lo, Chalo raaj karo, Mat dikhao apne aap ko chupaa kar rakho, mat jao aise jgaha jahaan apmaan ki shanka ho, mat socho unke baare main jo chand aur alankaar ka ganiit rache. Samay beetega aur beet rahaa hai.

No comments: